zara si der tabiat bahaal rahne de
zarā sī der tabī.at bahāl rahne de
maiñ yuuñ hī ḳhush huuñ mujhe pur-malāl rahne de
ḳhabar nahīñ ki ġhalat kyā hai aur kyā hai durust
dilā ye ishq hai to qīl-o-qāl rahne de
yahāñ pe harakat-e-ma.akūs kā hai daḳhl baḌā
isī liye mujhe vaqf-e-savāl rahne de
kise hai zarf-e-tamannā kī vus.atoñ kī ḳhabar
maiñ hijr maañg rahī huuñ visāl rahne de
kisī nashāt ke lamhe ko kab hai likhnā mujhe
tū aish-e-hijr se mujh ko niDhāl rahne de
na kar vazāhat-e-tamsīl-e-raqs-e-kār-e-junūñ
mujhe samajhnā hai to be-misāl rahne de
tū mere ishq ke kuuze ko toḌ de lekin
bas aisā kar ki mire ḳhadd-o-ḳhāl rahne de
tū ik payāde ko shah-māt denā chāhtā hai
maiñ haar maan ga.ī apnī chaal rahne de
zara si der tabiat bahaal rahne de
main yun hi KHush hun mujhe pur-malal rahne de
KHabar nahin ki ghalat kya hai aur kya hai durust
dila ye ishq hai to qil-o-qal rahne de
yahan pe harakat-e-makus ka hai daKHl baDa
isi liye mujhe waqf-e-sawal rahne de
kise hai zarf-e-tamanna ki wusaton ki KHabar
main hijr mang rahi hun visal rahne de
kisi nashat ke lamhe ko kab hai likhna mujhe
tu aish-e-hijr se mujh ko niDhaal rahne de
na kar wazahat-e-tamsil-e-raqs-e-kar-e-junun
mujhe samajhna hai to be-misal rahne de
tu mere ishq ke kuze ko toD de lekin
bas aisa kar ki mere KHadd-o-KHal rahne de
tu ek payaade ko shah-mat dena chahta hai
main haar man gai apni chaal rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.