zara soz-e-dil bazm ka saz dena
zarā soz-e-dil bazm kā saaz denā
ki ḳhud bolnā hai ḳhud āvāz denā
ajab zauq-e-pinhāñ hai rang-e-tapish meñ
tasallī na ai shoḳh-andāz denā
kabhī DhūñDhnā go shahā-e-haram meñ
kabhī dair meñ jā ke āvāz denā
guloñ ke haiñ āġhosh vā bahr-e-ruḳhsat
zarā baḌh ke bulbul ko āvāz denā
na le merā īmān ai be-niyāzī
ki hai nazr jalva-gah-e-nāz denā
ḳhayābāñ ḳhayābāñ meñ paiham tajassus
bayābāñ bayābāñ meñ āvāz denā
udhar merī tauba kī Dhāras bañdhānā
idhar mujh ko sāġhar ba-sad-nāz denā
hai gum-karda rāh-e-mohabbat meñ 'sāqib'
zarā muḌ ke phir us ko āvāz denā
zara soz-e-dil bazm ka saz dena
ki KHud bolna hai KHud aawaz dena
ajab zauq-e-pinhan hai rang-e-tapish mein
tasalli na ai shoKH-andaz dena
kabhi DhunDhna go shaha-e-haram mein
kabhi dair mein ja ke aawaz dena
gulon ke hain aaghosh wa bahr-e-ruKHsat
zara baDh ke bulbul ko aawaz dena
na le mera iman ai be-niyazi
ki hai nazr jalwa-gah-e-naz dena
KHayaban KHayaban mein paiham tajassus
bayaban bayaban mein aawaz dena
udhar meri tauba ki Dhaaras bandhana
idhar mujh ko saghar ba-sad-naz dena
hai gum-karda rah-e-mohabbat mein 'saqib'
zara muD ke phir us ko aawaz dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.