zara Thokar lage to KHud-kushi key baat karta hai
zara Thokar lage to KHud-kushi key baat karta hai
Ritu Singh Rajput Rit
MORE BYRitu Singh Rajput Rit
zarā Thokar lage to ḳhud-kushī key baat kartā hai
bashar is daur kā kuchh uljhanoñ se kitnā Dartā hai
kaho us se yahāñ phūloñ se kuchh hāsil nahīñ hotā
ki manzil us ko miltī hai jo kāñToñ se guzartā hai
kisī din qarz us ne bhī liyā hogā zamāna se
tabhī ban kar rinī ye vaqt sab ke zaḳhm bhartā hai
kabhī bhī god letī hī nahīñ phir ye koī sapnā
kisī bhī aañkh meñ is kā koī jab ḳhvāb martā hai
kuḌhan hotī hai kuchh yuuñ noch luuñ maiñ jism tak apnā
kisī ik shaḳhs kā chhūnā kabhī itnā akhartā hai
ye laalī aur biñdī 'rīt' kyoñ bhāte nahīñ tum ko
isī shringār se to jism aurat kā sañvartā hai
zara Thokar lage to KHud-kushi key baat karta hai
bashar is daur ka kuchh uljhanon se kitna Darta hai
kaho us se yahan phulon se kuchh hasil nahin hota
ki manzil us ko milti hai jo kanTon se guzarta hai
kisi din qarz us ne bhi liya hoga zamana se
tabhi ban kar rini ye waqt sab ke zaKHm bharta hai
kabhi bhi god leti hi nahin phir ye koi sapna
kisi bhi aankh mein is ka koi jab KHwab marta hai
kuDhan hoti hai kuchh yun noch lun main jism tak apna
kisi ek shaKHs ka chhuna kabhi itna akharta hai
ye lali aur bindi 'rit' kyon bhate nahin tum ko
isi shringar se to jism aurat ka sanwarta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.