zara wasl par ho ishaara tumhaara
zarā vasl par ho ishāra tumhārā
abhī faisla hai hamārā tumhārā
buto dīn-o-duniyā meñ kaafī hai mujh ko
ḳhudā kā bharosa sahārā tumhārā
mohabbat ke da.ave mile ḳhaak meñ sab
vo kahte haiñ kyā hai ijāra tumhārā
rukāvaT na hotī to dil ek hotā
tumhārā hamārā hamārā tumhārā
nikal kar mire ghar se ye jaan lo tum
na hogā kisī ghar guzāra tumhārā
sunā hai kisī aur ko chāhtā hai
vo dushman hamārā vo pyārā tumhārā
kareñge sifārish ham ai 'dāġh' un se
agar zikr aaya dobāra tumhārā
zara wasl par ho ishaara tumhaara
abhi faisla hai hamara tumhaara
buto din-o-duniya mein kafi hai mujh ko
KHuda ka bharosa sahaara tumhaara
mohabbat ke dawe mile KHak mein sab
wo kahte hain kya hai ijara tumhaara
rukawaT na hoti to dil ek hota
tumhaara hamara hamara tumhaara
nikal kar mere ghar se ye jaan lo tum
na hoga kisi ghar guzara tumhaara
suna hai kisi aur ko chahta hai
wo dushman hamara wo pyara tumhaara
karenge sifarish hum ai 'dagh' un se
agar zikr aaya dobara tumhaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.