zara zara si aan mein wo jaan-e-jaan badal gaya
zara zara si aan mein wo jaan-e-jaan badal gaya
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
zarā zarā sī aan meñ vo jān-e-jāñ badal gayā
kabhī to baat kaaT dī kabhī zabāñ badal gayā
hameñ to ye gila nahīñ ki jān-e-jāñ badal gayā
gila ye hai ki vo ba-haqq-e-dīgarāñ badal gayā
bahār to bahār thī ḳhizāñ bhī ab bahār hai
nizām-e-gulsitāñ mizāj-e-bāġhbāñ badal gayā
bajā ki hai taġhayyur-e-chaman se zīnat-e-chaman
magar ye kyā ki gulsitāñ kā gulsitāñ badal gayā
fuġhān-o-zabt-e-āh meñ yahī hai farq aur kyā
ki aag to lagī rahī magar dhuāñ badal gayā
rah-e-hayāt se hazāroñ rāste nikal ga.e
kise ye ab ḳhayāl hai ki koī kahāñ badal gayā
tirī nigāh thī to ik jahān sāzgār thā
tirī nigāh phir ga.ī to ik jahāñ badal gayā
vahī fareb-e-dushmanāñ hai is kā ġham nahīñ hameñ
hameñ to ġham ye hai ḳhulūs-e-dostāñ badal gayā
junūñ ne sauñp dī ḳhirad ke haath rasm-e-rahbarī
lo ahl-e-kārvāñ amīr-e-kārvāñ badal gayā
vajūd se adam ko yuuñ chalā gayā hai ik ġharīb
kirā.e-dār jis tarah koī makāñ badal gayā
haram se jo ḳhulūs thā hai der se vahī ḳhulūs
jabīñ vahī hai kyā huā jo āstāñ badal gayā
zara zara si aan mein wo jaan-e-jaan badal gaya
kabhi to baat kaT di kabhi zaban badal gaya
hamein to ye gila nahin ki jaan-e-jaan badal gaya
gila ye hai ki wo ba-haqq-e-digaran badal gaya
bahaar to bahaar thi KHizan bhi ab bahaar hai
nizam-e-gulsitan mizaj-e-baghban badal gaya
baja ki hai taghayyur-e-chaman se zinat-e-chaman
magar ye kya ki gulsitan ka gulsitan badal gaya
fughan-o-zabt-e-ah mein yahi hai farq aur kya
ki aag to lagi rahi magar dhuan badal gaya
rah-e-hayat se hazaron raste nikal gae
kise ye ab KHayal hai ki koi kahan badal gaya
teri nigah thi to ek jahan sazgar tha
teri nigah phir gai to ek jahan badal gaya
wahi fareb-e-dushmanan hai is ka gham nahin hamein
hamein to gham ye hai KHulus-e-dostan badal gaya
junun ne saunp di KHirad ke hath rasm-e-rahbari
lo ahl-e-karwan amir-e-karwan badal gaya
wajud se adam ko yun chala gaya hai ek gharib
kirae-dar jis tarah koi makan badal gaya
haram se jo KHulus tha hai der se wahi KHulus
jabin wahi hai kya hua jo aastan badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.