zarb-e-haalat kuchh nahin hoti
zarb-e-hālāt kuchh nahīñ hotī
rañj kī baat kuchh nahīñ hotī
jis meñ dil kā ziyāñ nahīñ hotā
vo mulāqāt kuchh nahīñ hotī
vo jo shāyān-e-shān-e-faqr na ho
aisī ḳhairāt kuchh nahīñ hotī
bad-sharistī lahū meñ hotī hai
baat meñ baat kuchh nahīñ hotī
zo.am to āstīñ kā hotā hai
saañp kī zaat kuchh nahīñ hotī
log jo bā-vafā nahīñ hote
un kī auqāt kuchh nahīñ hotī
ek vaqfa visāl kā hai faqat
hijr kī raat kuchh nahīñ hotī
jab se āñkheñ ujaḌ ga.ī haiñ 'qais'
ghar meñ barsāt kuchh nahīñ hotī
zarb-e-haalat kuchh nahin hoti
ranj ki baat kuchh nahin hoti
jis mein dil ka ziyan nahin hota
wo mulaqat kuchh nahin hoti
wo jo shayan-e-shan-e-faqr na ho
aisi KHairaat kuchh nahin hoti
bad-sharisti lahu mein hoti hai
baat mein baat kuchh nahin hoti
zoam to aastin ka hota hai
sanp ki zat kuchh nahin hoti
log jo ba-wafa nahin hote
un ki auqat kuchh nahin hoti
ek waqfa visal ka hai faqat
hijr ki raat kuchh nahin hoti
jab se aankhen ujaD gai hain 'qais'
ghar mein barsat kuchh nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.