zarb-e-taza-kari hai hadisa purana hai
zarb-e-tāza-kārī hai hādisa purānā hai
sang-e-nau ke narġhe meñ phir vahī divāna hai
jab se ye ghaTā us ke gesūoñ kī chhā.ī hai
bijliyoñ kī yūrish meñ tab se āshiyāna hai
zindagī kī āzādī intishār-e-qālib hai
ruuh ke parindoñ kā jism qaid-ḳhāna hai
khel hai guzar jaanā darmiyān-e-hastī se
ik taraf mohabbat hai ik taraf zamāna hai
nafs ke darīche se dil kī dhaḌkaneñ guzrīñ
aatī jaatī sāñsoñ kā raqs tāziyāna hai
dil kī be-qarārī kā iztirāb kyā likhkhūñ
kārsāz-e-ulfat kā shauq tājirāna hai
aadmī ke rishte bhī kitne TuuTe phūTe haiñ
zindagī kī qadroñ kā ruup hī yagāna hai
kyā 'sahar' zamāne kā inhitāt-e-tahzībī
irtiqā-e-hastī kā qīmtī ḳhazāna hai
zarb-e-taza-kari hai hadisa purana hai
sang-e-nau ke narghe mein phir wahi diwana hai
jab se ye ghaTa us ke gesuon ki chhai hai
bijliyon ki yurish mein tab se aashiyana hai
zindagi ki aazadi intishaar-e-qalib hai
ruh ke parindon ka jism qaid-KHana hai
khel hai guzar jaana darmiyan-e-hasti se
ek taraf mohabbat hai ek taraf zamana hai
nafs ke dariche se dil ki dhaDkanen guzrin
aati jati sanson ka raqs taziyana hai
dil ki be-qarari ka iztirab kya likhkhun
karsaz-e-ulfat ka shauq tajirana hai
aadmi ke rishte bhi kitne TuTe phuTe hain
zindagi ki qadron ka rup hi yagana hai
kya 'sahar' zamane ka inhitat-e-tahzibi
irtiqa-e-hasti ka qimti KHazana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.