zard chehre pe KHush-libas aankhen
zard chehre pe ḳhush-libās āñkheñ
ḳhuub hañstī haiñ mahv-e-yās āñkheñ
'iid kā chāñd hai tū aur terī
raah taktī haiñ bārah maas āñkheñ
ruuh ko ruuh se ho kaise 'ishq
na to dil hai na is ke paas āñkheñ
har nazar ko nasīb kyoñ hoñ ham
ham ko dekheñ vahī do ḳhaas āñkheñ
zehn kartā hai tere gird tavāf
jab na hoñ tere ās-pās āñkheñ
merī āñkhoñ meñ sirf tere ḳhvāb
‘ḳhvāb’ kī muntazir pachās āñkheñ
zard chehre pe KHush-libas aankhen
KHub hansti hain mahw-e-yas aankhen
'id ka chand hai tu aur teri
rah takti hain barah mas aankhen
ruh ko ruh se ho kaise 'ishq
na to dil hai na is ke pas aankhen
har nazar ko nasib kyon hon hum
hum ko dekhen wahi do KHas aankhen
zehn karta hai tere gird tawaf
jab na hon tere aas-pas aankhen
meri aankhon mein sirf tere KHwab
‘KHwab’ ki muntazir pachas aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.