zard mausam ki musibat jagi
zard mausam kī musībat jaagī
patte TuuTe to haqīqat jaagī
dard saath apne davā bhī laayā
zaḳhm nikle to jarāhat jaagī
chāk-dāman huā to hosh aayā
jab uḌe hosh basīrat jaagī
iiñT patthar ke alāva kyā thā
jal gayā ghar to sadāqat jaagī
chāñd niklā to mire pahlū meñ
terī ḳhvābīda mohabbat jaagī
jhilmilāne lage palkoñ pe charāġh
dil meñ jab dard kī shiddat jaagī
ham badalte rahe pahlū 'parkāsh'
dard soyā na mohabbat jaagī
zard mausam ki musibat jagi
patte TuTe to haqiqat jagi
dard sath apne dawa bhi laya
zaKHm nikle to jarahat jagi
chaak-daman hua to hosh aaya
jab uDe hosh basirat jagi
inT patthar ke alawa kya tha
jal gaya ghar to sadaqat jagi
chand nikla to mere pahlu mein
teri KHwabida mohabbat jagi
jhilmilane lage palkon pe charagh
dil mein jab dard ki shiddat jagi
hum badalte rahe pahlu 'parkash'
dard soya na mohabbat jagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.