zard patte ki tarah uDta hua jata hai
zard patte kī tarah uḌtā huā jaatā hai
din mirā jaane kahāñ bikhrā huā jaatā hai
sub.h utrī hai to aflāk se aalam kā hujūm
jism kī qaid meñ pachhtātā huā jaatā hai
sāneha jo bhī janam letā hai lamha lamha
ḳhāna-e-dil se mire hotā huā jaatā hai
do ghaḌī baiTh mujhe aañkh meñ bhar lene de
surḳh kyoñ chāñd sā ye chehra huā jaatā hai
daur-e-nau-roz se har roz suhūlat pā kar
aadmī pahle se bhī tanhā huā jaatā hai
zard patte ki tarah uDta hua jata hai
din mera jaane kahan bikhra hua jata hai
subh utri hai to aflak se aalam ka hujum
jism ki qaid mein pachhtata hua jata hai
saneha jo bhi janam leta hai lamha lamha
KHana-e-dil se mere hota hua jata hai
do ghaDi baiTh mujhe aankh mein bhar lene de
surKH kyon chand sa ye chehra hua jata hai
daur-e-nau-roz se har roz suhulat pa kar
aadmi pahle se bhi tanha hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.