zard patton ki ye rut kya kya na samjhae mujhe
zard pattoñ kī ye rut kyā kyā na samjhā.e mujhe
har thakā haarā shajar ā.īna dikhlā.e mujhe
der tak mahkā kiyā vīrāna-e-kunj-e-ḳhayāl
us se mil ke motiye ke phuul yaad aa.e mujhe
apnī gahrā.ī kā mujh ko ḳhud bhī andāza nahīñ
ḳhud meñ jab Dūbūñ samundar sā nazar aa.e mujhe
gardish-e-taqdīr ke kuchh haiñ musalsal dā.ere
har janam merā ġhalat tahrīr kar jaa.e mujhe
hasrat-e-tāmīr meñ miTTī mirī barbād ho
jur.at-e-iz.hār dīvāroñ meñ chunvā.e mujhe
merī hastī ko vo jaise chāhe vaise hal kare
zarb de mujh ko kabhī taqsīm kar jaa.e mujhe
zard patton ki ye rut kya kya na samjhae mujhe
har thaka haara shajar aaina dikhlae mujhe
der tak mahka kiya virana-e-kunj-e-KHayal
us se mil ke motiye ke phul yaad aae mujhe
apni gahrai ka mujh ko KHud bhi andaza nahin
KHud mein jab Dubun samundar sa nazar aae mujhe
gardish-e-taqdir ke kuchh hain musalsal daere
har janam mera ghalat tahrir kar jae mujhe
hasrat-e-tamir mein miTTi meri barbaad ho
jurat-e-izhaar diwaron mein chunwae mujhe
meri hasti ko wo jaise chahe waise hal kare
zarb de mujh ko kabhi taqsim kar jae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.