zard patton pe mera nam likha hai usne
zard pattoñ pe mirā naam likhā hai us ne
sabz ḳhvāboñ kā ye anjām likhā hai us ne
koī miltā nahīñ jo paḌh ke sunā de mujh ko
barg-e-gul par koī paiġhām likhā hai us ne
sach hai tanhā.ī meñ insān sanak jaatā hai
roz-e-raushan ko siyah-fām likhā hai us ne
mehr-o-mah diip huā abr samundar ḳhushbū
kis kī taqdīr meñ ārām likhā hai us ne
sar uchhalte haiñ zabāñ kaTtī hai jis meñ 'anjum'
mere zimme vahī ik kaam likhā hai us ne
zard patton pe mera nam likha hai us ne
sabz KHwabon ka ye anjam likha hai us ne
koi milta nahin jo paDh ke suna de mujh ko
barg-e-gul par koi paigham likha hai us ne
sach hai tanhai mein insan sanak jata hai
roz-e-raushan ko siyah-fam likha hai us ne
mehr-o-mah dip hua abr samundar KHushbu
kis ki taqdir mein aaram likha hai us ne
sar uchhalte hain zaban kaTti hai jis mein 'anjum'
mere zimme wahi ek kaam likha hai us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.