zard peDon pe naya rang zara aane de
zard peḌoñ pe nayā rañg zarā aane de
is taraf bhī na.e mausam kī havā aane de
jumbish-e-chashm se garmā de mirā sard lahū
sust dariyā ko samundar kī sadā aane de
shāḳh-e-hālāt se ab jhaaḌ bhī de tursh samar
talḳh hoñToñ pe koī taaza mazā aane de
yuuñ to khā jā.egī zulmāt-e-dil-o-jāñ sab ko
band kamroñ meñ kahīñ se to ziyā aane de
garm rātoñ meñ ḳhunuk zau kī paḌe dil pe phuvār
surḳh hāthoñ kī koī sham-e-hinā aane de
jam.a hai zehn meñ kitnā ḳhas-o-ḳhāshāk-e-ḳhayāl
is khaḌe paanī meñ bhī mauj-e-balā aane de
ḳhushk pattoñ se bharī shāḳheñ huiiñ bār-e-nazar
baaġh kā sab se baḌā peḌ hilā aane de
ḳhvāhish-e-sāya mujhe chalne na degī 'shāhīñ'
raah kī pahlī ye dīvār girā aane de
zard peDon pe naya rang zara aane de
is taraf bhi nae mausam ki hawa aane de
jumbish-e-chashm se garma de mera sard lahu
sust dariya ko samundar ki sada aane de
shaKH-e-haalat se ab jhaD bhi de tursh samar
talKH honTon pe koi taza maza aane de
yun to kha jaegi zulmat-e-dil-o-jaan sab ko
band kamron mein kahin se to ziya aane de
garm raaton mein KHunuk zau ki paDe dil pe phuwar
surKH hathon ki koi sham-e-hina aane de
jama hai zehn mein kitna KHas-o-KHashak-e-KHayal
is khaDe pani mein bhi mauj-e-bala aane de
KHushk patton se bhari shaKHen huin bar-e-nazar
bagh ka sab se baDa peD hila aane de
KHwahish-e-saya mujhe chalne na degi 'shahin'
rah ki pahli ye diwar gira aane de
- Book : 8 Gazal Go (Pg. 81)
- Author : javed Shaheen
- Publication : Maktaba Meri Library,Lahore (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.