zard ummid ke gul hain kali murjhai hai
zard ummid ke gul hain kali murjhai hai
Mehdi Baqar Khan Meraj
MORE BYMehdi Baqar Khan Meraj
zard ummīd ke gul haiñ kalī murjhā.ī hai
mere āñgan meñ kuchh is tarah bahār aa.ī hai
sabr kī jiit huī zabt kā qad aur uThā
phir se ai zulm tire hisse meñ paspā.ī hai
aadmī ishq vafā ahl-e-muravvat īmāñ
ye na DhūñDo ki jahāñ meñ baḌī mahñgā.ī hai
saarī daulat hai yahī merī bizā.at hai yahī
bas tirī yaad hai maiñ huuñ mirī tanhā.ī hai
gar tumhīñ ruuTh ga.e mujh se mirī jān-e-ġhazal
phir ġhazal kuchh nahīñ be-vaqt kī shahnā.ī hai
zard ummid ke gul hain kali murjhai hai
mere aangan mein kuchh is tarah bahaar aai hai
sabr ki jit hui zabt ka qad aur uTha
phir se ai zulm tere hisse mein paspai hai
aadmi ishq wafa ahl-e-murawwat iman
ye na DhunDo ki jahan mein baDi mahngai hai
sari daulat hai yahi meri bizaat hai yahi
bas teri yaad hai main hun meri tanhai hai
gar tumhin ruTh gae mujh se meri jaan-e-ghazal
phir ghazal kuchh nahin be-waqt ki shahnai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.