Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarf-e-shabnam se jal gae aansu

Syed Ahsan Javed

zarf-e-shabnam se jal gae aansu

Syed Ahsan Javed

MORE BYSyed Ahsan Javed

    zarf-e-shabnam se jal ga.e aañsū

    ātish-e-gul meñ Dhal ga.e aañsū

    sozish-e-ġham meñ sham.a jaltī rahī

    mom ban kar pighal ga.e aañsū

    chāñdnī tujh meñ khoī khoī rahī

    kahkashāñ ban ke Dhal ga.e aañsū

    ik kasak rahī rag-e-dil meñ

    ḳhuun meñ phir badal ga.e aañsū

    koī TuuTā hai ḳhvāb pyaar bharā

    phir yakāyak machal ga.e aañsū

    zarf-e-shabnam se jal gae aansu

    aatish-e-gul mein Dhal gae aansu

    sozish-e-gham mein shama jalti rahi

    mom ban kar pighal gae aansu

    chandni tujh mein khoi khoi rahi

    kahkashan ban ke Dhal gae aansu

    ek kasak si rahi rag-e-dil mein

    KHun mein phir badal gae aansu

    koi TuTa hai KHwab pyar bhara

    phir yakayak machal gae aansu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now