zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka
zarf to dekhiye mere dil-e-shaidā.ī kā
jām-e-mai ban gayā ik mast-e-ḳhud-ārā.ī kā
jī meñ aatā hai ki phūloñ kī uḌā duuñ ḳhushbū
rañg uḌā laa.e haiñ zālim tirī ra.anā.ī kā
maiñ abhī un ko shanāsā-e-mohabbat kar duuñ
kaash mauqa.a to mile un se shanāsā.ī kā
bhuul jāoge yahāñ aa ke tum apnā aalam
tum ne dekhā nahīñ gosha mirī tanhā.ī kā
tum ne ka.aba to banāyā hai 'sharaf' ke dil ko
hukm is ka.abe meñ do sab ko jabīñ-sā.ī kā
zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka
jam-e-mai ban gaya ek mast-e-KHud-arai ka
ji mein aata hai ki phulon ki uDa dun KHushbu
rang uDa lae hain zalim teri ranai ka
main abhi un ko shanasa-e-mohabbat kar dun
kash mauqa to mile un se shanasai ka
bhul jaoge yahan aa ke tum apna aalam
tum ne dekha nahin gosha meri tanhai ka
tum ne kaba to banaya hai 'sharaf' ke dil ko
hukm is kabe mein do sab ko jabin-sai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.