zarra-e-na-tapida ki KHwahish-e-aftab kya
zarra-e-nā-tapīda kī ḳhvāhish-e-āftāb kyā
naġhma-e-nā-shunīda kā hausla-e-rabāb kyā
umr kā dil hai muzmahil ziist hai dard-e-mustaqil
aise nizām-e-dahr meñ vasvasa-e-azāb kyā
naġhma ba-lab haiñ kiyāriyāñ raqs meñ zarra-e-tapāñ
sun liyā kisht-e-ḳhushk ne zamzama-e-sahāb kyā
chehra-e-shab damak uThā surḳh shafaq jhalak uThī
vaqt-e-tulū kah gayā jaane āftāb kyā
rindoñ se bāz-purs kī pīr-e-muġhāñ se dil-lagī
aaj ye mohtasib ne bhī pī hai kahīñ sharāb kyā
sham.a thī laakh adh-jalī bazm meñ raushnī to thī
varna ġham-e-nashāt meñ raushni-e-gulāb kyā
ġhair kī rah-guzar hai ye dost kī rah-guzar nahīñ
kaun uThā.egā tujhe dekh rahā hai ḳhvāb kyā
muddatoñ se ḳhalish jo thī jaise vo kam sī ho chalī
aaj mire savāl kā mil hī gayā javāb kyā
haañ tirī manzil-e-murād duur bahut hī duur hai
phir bhī har ek moḌ par dil meñ ye iztirāb kyā
zarra-e-na-tapida ki KHwahish-e-aftab kya
naghma-e-na-shunida ka hausla-e-rabab kya
umr ka dil hai muzmahil zist hai dard-e-mustaqil
aise nizam-e-dahr mein waswasa-e-azab kya
naghma ba-lab hain kiyariyan raqs mein zarra-e-tapan
sun liya kisht-e-KHushk ne zamzama-e-sahab kya
chehra-e-shab damak uTha surKH shafaq jhalak uThi
waqt-e-tulu kah gaya jaane aaftab kya
rindon se baz-purs ki pir-e-mughan se dil-lagi
aaj ye mohtasib ne bhi pi hai kahin sharab kya
shama thi lakh adh-jali bazm mein raushni to thi
warna gham-e-nashat mein raushni-e-gulab kya
ghair ki rah-guzar hai ye dost ki rah-guzar nahin
kaun uThaega tujhe dekh raha hai KHwab kya
muddaton se KHalish jo thi jaise wo kam si ho chali
aaj mere sawal ka mil hi gaya jawab kya
han teri manzil-e-murad dur bahut hi dur hai
phir bhi har ek moD par dil mein ye iztirab kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.