zarra jo koi mehr ke misdaq ho gaya
zarra jo koī mehr ke misdāq ho gayā
sab shahr us kī dhuup kā mushtāq ho gayā
qasr-e-ḳhayāl ḳhvāb-e-makāñ āstān-e-dil
rakkhī jahāñ bhī sham.a vahī taaq ho gayā
in ḳhvāhishoñ ke naag ne kyā Das liyā mujhe
mohlik thā jo vo zahr bhī tiryāq ho gayā
vābasta ho ga.e haiñ ab us kī adā se ham
ham par bhī us ke hukm kā itlāq ho gayā
'rāhat' pas-e-murād adab guftugū rahī
phir yuuñ huā ki vo bhī bad-aḳhlāq ho gayā
zarra jo koi mehr ke misdaq ho gaya
sab shahr us ki dhup ka mushtaq ho gaya
qasr-e-KHayal KHwab-e-makan aastan-e-dil
rakkhi jahan bhi shama wahi taq ho gaya
in KHwahishon ke nag ne kya Das liya mujhe
mohlik tha jo wo zahr bhi tiryaq ho gaya
wabasta ho gae hain ab us ki ada se hum
hum par bhi us ke hukm ka itlaq ho gaya
'rahat' pas-e-murad adab guftugu rahi
phir yun hua ki wo bhi bad-aKHlaq ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.