Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarra zarra hai ise mehr-e-munawwar na kaho

Habab Hashmi

zarra zarra hai ise mehr-e-munawwar na kaho

Habab Hashmi

MORE BYHabab Hashmi

    zarra zarra hai ise mehr-e-munavvar na kaho

    qatra har haal meñ qatra hai samundar na kaho

    but-e-tannāz ko iḳhlās paikar na kaho

    dushman-e-mehr-o-vafā ko fan-e-āzar na kaho

    kahīñ phūTī hai kabhī un se vafā ḳhushbū

    lab-e-ma.ashūq ko aurāq-e-gul-e-tar na kaho

    rañg aur nasl tafrīq miTāne ke liye

    maslahat hai ise behtar use kamtar na kaho

    ġham jab aañch lagegī to pighal jā.egā

    dil to ik shīsha hai is shīshe ko patthar na kaho

    saath taqdīr ke tadbīr zarūrī hai 'habāb'

    bigḌe hālāt ko tum apnā muqaddar na kaho

    zarra zarra hai ise mehr-e-munawwar na kaho

    qatra har haal mein qatra hai samundar na kaho

    but-e-tannaz ko iKHlas ka paikar na kaho

    dushman-e-mehr-o-wafa ko fan-e-azar na kaho

    kahin phuTi hai kabhi un se wafa ki KHushbu

    lab-e-mashuq ko auraq-e-gul-e-tar na kaho

    rang aur nasl ki tafriq miTane ke liye

    maslahat hai ise behtar use kamtar na kaho

    gham ki jab aanch lagegi to pighal jaega

    dil to ek shisha hai is shishe ko patthar na kaho

    sath taqdir ke tadbir zaruri hai 'habab'

    bigDe haalat ko tum apna muqaddar na kaho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now