Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarraat ke jauhar mein ehsan-e-KHuda tum ho

Usha Shafaq

zarraat ke jauhar mein ehsan-e-KHuda tum ho

Usha Shafaq

MORE BYUsha Shafaq

    zarrāt ke jauhar meñ ehsān-e-ḳhudā tum ho

    ye merī anā kyā hai irfān-e-ḳhudā tum ho

    har qatra-e-shabnam meñ har rang-e-gul-e-tar meñ

    jān-e-ḳhudā tum ho shān-e-ḳhudā tum ho

    zāhir meñ mazāhib haiñ bātin meñ tumhī tum ho

    injīl ho giitā ho qur.ān-e-ḳhudā tum ho

    tā-hadd-e-ufuq har-sū jalve tumhāre haiñ

    vus.at meñ ḳhalāoñ elān-e-ḳhudā tum ho

    duniyā meñ ye jo kuchh hai sab kis karishma hai

    tum raunaq-e-ālam ho faizān-e-ḳhudā tum ho

    tāroñ ke ujāloñ meñ duniyā ke nazāroñ meñ

    taḳhlīq maqsad ho armān-e-ḳhudā tum ho

    tum sham-e-hidāyat ho tum nuur haala ho

    sar-tā-pā haqīqat ho īmān-e-ḳhudā tum ho

    zarraat ke jauhar mein ehsan-e-KHuda tum ho

    ye meri ana kya hai irfan-e-KHuda tum ho

    har qatra-e-shabnam mein har rang-e-gul-e-tar mein

    ya jaan-e-KHuda tum ho ya shan-e-KHuda tum ho

    zahir mein mazahib hain baatin mein tumhi tum ho

    injil ho gita ho quran-e-KHuda tum ho

    ta-hadd-e-ufuq har-su jalwe hi tumhaare hain

    wusat mein KHalaon ki elan-e-KHuda tum ho

    duniya mein ye jo kuchh hai sab kis ka karishma hai

    tum raunaq-e-alam ho faizan-e-KHuda tum ho

    taron ke ujalon mein duniya ke nazaron mein

    taKHliq ka maqsad ho arman-e-KHuda tum ho

    tum sham-e-hidayat ho tum nur ka haala ho

    sar-ta-pa haqiqat ho iman-e-KHuda tum ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now