zarre zarre mein nihan ek nagin tha pahle
zarre zarre meñ nihāñ ek nagīñ thā pahle
lekin is dasht meñ dil aur kahīñ thā pahle
āsmāñ mujh ko kahāñ sarf kiye jaatā hai
mujh ko is baat kā ehsās nahīñ thā pahle
vaqt ḳhud us ko faqīrī kī taraf le aayā
jo faqīroñ pe bahut chīñ-ba-jabīñ thā pahle
kūcha-e-josh-o-junūñ dekh ke dil Duub gayā
in makānoñ meñ bahut shor-e-makīñ thā pahle
aap zahmat-kash-e-ummīd kahāñ hote the
varna har baat kā imkān yahīñ thā pahle
aisā mā.ūf kiyā TuuTe irādoñ ne mujhe
jo gumāñ aaj guzartā hai yaqīñ thā pahle
har gul-e-nau kī adā yaad dilā jaatī hai
hū-ba-hū maiñ bhī kabhī naaz ba-īñ thā pahle
tasht-az-bām kiye kār-e-suḳhan-dānī ne
varna dil kitne hī rāzoñ kā amiiñ thā pahle
gunjlak nuqta-e-sāda ko banāyā 'tāsif'
aisā mushkil bhī kahāñ dīn-e-mubīñ thā pahle
zarre zarre mein nihan ek nagin tha pahle
lekin is dasht mein dil aur kahin tha pahle
aasman mujh ko kahan sarf kiye jata hai
mujh ko is baat ka ehsas nahin tha pahle
waqt KHud us ko faqiri ki taraf le aaya
jo faqiron pe bahut chin-ba-jabin tha pahle
kucha-e-josh-o-junun dekh ke dil Dub gaya
in makanon mein bahut shor-e-makin tha pahle
aap zahmat-kash-e-ummid kahan hote the
warna har baat ka imkan yahin tha pahle
aisa mauf kiya TuTe iradon ne mujhe
jo guman aaj guzarta hai yaqin tha pahle
har gul-e-nau ki ada yaad dila jati hai
hu-ba-hu main bhi kabhi naz ba-in tha pahle
tasht-az-baam kiye kar-e-suKHan-dani ne
warna dil kitne hi raazon ka amin tha pahle
gunjlak nuqta-e-sada ko banaya 'tasif'
aisa mushkil bhi kahan din-e-mubin tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.