zarron ko harif-e-mah-o-KHurshid bana do
zarroñ ko harīf-e-mah-o-ḳhurshīd banā do
insān kī rāhoñ meñ sitāroñ ko bichhā do
vo zulf-e-siyah-posh ki hai jis se añdherā
ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb ke chehre se haTā do
tūfān-o-havādis kī shikāyāt kahāñ tak
tūfān-o-havādis se safīnoñ ko laḌā do
jo apnī nazar tishna-laboñ par nahīñ rakhtā
us sāqī-e-kam-zarf ko mahfil se uThā do
parvezī-e-parvez hai kuchh roz kī mehmāñ
dārāī-e-dārā ke ġhulāmoñ ko batā do
gulshan se mohabbat hai to ai ahl-e-gulistāñ
tafrīq-e-gul-o-lāla gulistāñ se miTā do
duniyā ko dikhā do ki ho tum sabr ke ḳhūgar
ādāb-e-vafā jabr ke ḳhūgar ko sikhā do
'fārūq' faqat maqsad-e-taḳhlīq yahī hai
insān ko insāñ kā parastār banā do
zarron ko harif-e-mah-o-KHurshid bana do
insan ki rahon mein sitaron ko bichha do
wo zulf-e-siyah-posh ki hai jis se andhera
KHurshid-e-jahan-tab ke chehre se haTa do
tufan-o-hawadis ki shikayat kahan tak
tufan-o-hawadis se safinon ko laDa do
jo apni nazar tishna-labon par nahin rakhta
us saqi-e-kam-zarf ko mahfil se uTha do
parwezi-e-parwez hai kuchh roz ki mehman
darai-e-dara ke ghulamon ko bata do
gulshan se mohabbat hai to ai ahl-e-gulistan
tafriq-e-gul-o-lala gulistan se miTa do
duniya ko dikha do ki ho tum sabr ke KHugar
aadab-e-wafa jabr ke KHugar ko sikha do
'faruq' faqat maqsad-e-taKHliq yahi hai
insan ko insan ka parastar bana do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.