zarur baam par aae wo be-naqab kahin
zarūr baam par aa.e vo be-naqāb kahīñ
nazar mujhe nahīñ aatā hai āftāb kahīñ
vahāñ pe zaḳhm haiñ mushtāq kab se bātoñ ke
zabān-e-teġh se hī dījiye javāb kahīñ
hañsī hañsī meñ to vo qatl-e-ām karte haiñ
qayāmat aa.e jo aa.e unheñ itaab kahīñ
lagā ke us ko kaleje se rakhte ai qātil
jo tere tiir kā miltā hameñ javāb kahīñ
shab-e-visāl meñ 'safdar' ko tum na tarsāo
uThā bhī do ruḳh-e-pur-nūr se naqāb kahīñ
zarur baam par aae wo be-naqab kahin
nazar mujhe nahin aata hai aaftab kahin
wahan pe zaKHm hain mushtaq kab se baaton ke
zaban-e-tegh se hi dijiye jawab kahin
hansi hansi mein to wo qatl-e-am karte hain
qayamat aae jo aae unhen itab kahin
laga ke us ko kaleje se rakhte ai qatil
jo tere tir ka milta hamein jawab kahin
shab-e-visal mein 'safdar' ko tum na tarsao
uTha bhi do ruKH-e-pur-nur se naqab kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.