zarurat be-zarurat bolti hai
zarūrat be-zarūrat boltī hai
jahāñ daulat ho daulat boltī hai
mohabbat kār-farmā hai hamārī
tire chehre kī rangat boltī hai
parakhne kā zarā sā tajraba ho
har ik shai apnī qīmat boltī hai
zabāñ aur aañkh donoñ band rakhnā
qabīle se qayādat boltī hai
ye hotā hai jo himmat haar baiTho
ki baḌh-chaḌh kar musībat boltī hai
chamaknā hai to mere saath aa jā
muqaddar se ye mehnat boltī hai
tumhārā kab hai jo kuchh hai tumhārā
buzurgoñ kī vasiyyat boltī hai
tumhāre paas sab hai maiñ nahīñ huuñ
sisaktī ādmiyyat boltī hai
zarurat be-zarurat bolti hai
jahan daulat ho daulat bolti hai
mohabbat kar-farma hai hamari
tere chehre ki rangat bolti hai
parakhne ka zara sa tajraba ho
har ek shai apni qimat bolti hai
zaban aur aankh donon band rakhna
qabile se qayaadat bolti hai
ye hota hai jo himmat haar baiTho
ki baDh-chaDh kar musibat bolti hai
chamakna hai to mere sath aa ja
muqaddar se ye mehnat bolti hai
tumhaara kab hai jo kuchh hai tumhaara
buzurgon ki wasiyyat bolti hai
tumhaare pas sab hai main nahin hun
sisakti aadmiyyat bolti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.