zarurat bhar zarurat chahta hun
zarūrat bhar zarūrat chāhtā huuñ
parindoñ jaisī aadat chāhtā huuñ
ghuTan hotī hai dohrī shaḳhsiyat se
dil ā.īne kī sūrat chāhtā huuñ
bahut kamzor būḌhā āsmāñ hai
koī mazbūt sī chhat chāhtā huuñ
fazā ghar kī mire laa.eq nahīñ hai
samundar dasht parbat chāhtā huuñ
mirā har pal police afsar hai 'saifī'
ġhazal kahne kī fursat chāhtā huuñ
zarurat bhar zarurat chahta hun
parindon jaisi aadat chahta hun
ghuTan hoti hai dohri shaKHsiyat se
dil aaine ki surat chahta hun
bahut kamzor buDha aasman hai
koi mazbut si chhat chahta hun
faza ghar ki mere laeq nahin hai
samundar dasht parbat chahta hun
mera har pal police afsar hai 'saifi'
ghazal kahne ki fursat chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.