zarurat-e-sahar mujhe na KHwahish-e-shaguft-e-gul
zarūrat-e-sahar mujhe na ḳhvāhish-e-shaguft-e-gul
vo chāk-e-pairahan mile jo hashr tak rafū na ho
jise ġhubār-e-rah-guzar samajh ke tū guzar gayā
ḳhayāl kar kabhī vahī maqām-e-justujū na ho
tū gulshan-e-hayāt se nasīm kī tarah guzar
fareb-e-ḳhār-o-ḳhas na khā asīr-e-rang-o-bū na ho
sar-e-ġhurūr jhuk gayā jabīñ pur-āb ho ga.ī
vo hāl-e-dil samajh ga.e hazār guftugū na ho
nazāra-e-jamāl bhī yaqīnan ik gunāh hai
mai-e-adab se 'faiz' agar nigāh kā vuzū na ho
zarurat-e-sahar mujhe na KHwahish-e-shaguft-e-gul
wo chaak-e-pairahan mile jo hashr tak rafu na ho
jise ghubar-e-rah-guzar samajh ke tu guzar gaya
KHayal kar kabhi wahi maqam-e-justuju na ho
tu gulshan-e-hayat se nasim ki tarah guzar
fareb-e-KHar-o-KHas na kha asir-e-rang-o-bu na ho
sar-e-ghurur jhuk gaya jabin pur-ab ho gai
wo haal-e-dil samajh gae hazar guftugu na ho
nazara-e-jamal bhi yaqinan ek gunah hai
mai-e-adab se 'faiz' agar nigah ka wuzu na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.