zarurat hai kisi bhi KHwab ki tabir se pahle
zarūrat hai kisī bhī ḳhvāb kī tā'bīr se pahle
banā lo zehn meñ naqsha koī tā'mīr se pahle
azal se āshnā hai dil tire jalvoñ se ai hamdam
tasavvur meñ tirī tasvīr thī tasvīr se pahle
baḌī koshish kare insān hāsil kuchh nahīñ hotā
milā hai vaqt se pahle na kuchh taqdīr se pahle
nasheman barq kī zad par banānā chāhtā huuñ maiñ
tasalsul hai mirā qaa.em har ik tā'mīr se pahle
na do zahmat mire mahbūb nāzuk haath ko apne
maiñ zaḳhmī huuñ adā-e-nāz kī shamshīr se pahle
yahāñ Duubī huī thī ādmiyyat ghup añdheroñ meñ
jahālat kā añdherā thā tirī tanvīr se pahle
kisī ke naqsh-e-pā ko ham banā leñ rahnumā apnā
koī ġhālib na ho paayā janāb-e-'mīr' se pahle
zabān-e-'shād' par aatā hai terā naam ai ḳhāliq
har ik āġhāz se pahle har ik tahrīr se pahle
zarurat hai kisi bhi KHwab ki ta'bir se pahle
bana lo zehn mein naqsha koi ta'mir se pahle
azal se aashna hai dil tere jalwon se ai hamdam
tasawwur mein teri taswir thi taswir se pahle
baDi koshish kare insan hasil kuchh nahin hota
mila hai waqt se pahle na kuchh taqdir se pahle
nasheman barq ki zad par banana chahta hun main
tasalsul hai mera qaem har ek ta'mir se pahle
na do zahmat mere mahbub nazuk hath ko apne
main zaKHmi hun ada-e-naz ki shamshir se pahle
yahan Dubi hui thi aadmiyyat ghup andheron mein
jahaalat ka andhera tha teri tanwir se pahle
kisi ke naqsh-e-pa ko hum bana len rahnuma apna
koi ghaalib na ho paya janab-e-'mir' se pahle
zaban-e-'shad' par aata hai tera nam ai KHaliq
har ek aaghaz se pahle har ek tahrir se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.