zarurat ke mutabiq to sahaare lazmi honge
zarūrat ke mutābiq to sahāre lāzmī hoñge
agar dariyā banānā ho kināre lāzmī hoñge
ye kārobār-e-ulfat hai yahāñ dil ko baḌā rakhnā
mohabbat kī tijārat meñ ḳhasāre lāzmī hoñge
ye maanā hai ki ik duniyā tumhāre saath chaltī hai
magar kuchh log duniyā meñ hamāre lāzmī hoñge
agar tum raushnī chāho chalo phir saath chalte haiñ
falak par chāñd ho na ho sitāre lāzmī hoñge
vo jis takiye ke nīche se mirī tasvīr miltī thī
kisī ne ḳhvāb us takiye pe vaare lāzmī hoñge
jahāñ ham roz milte the vahāñ kuchh pal farāġhat ke
akele baiTh kar us ne guzāre lāzmī hoñge
ye tai tum ne hī karnā hai ki tum kis samt jāoge
safar meñ har jagah 'sā.im' ishāre lāzmī hoñge
zarurat ke mutabiq to sahaare lazmi honge
agar dariya banana ho kinare lazmi honge
ye karobar-e-ulfat hai yahan dil ko baDa rakhna
mohabbat ki tijarat mein KHasare lazmi honge
ye mana hai ki ek duniya tumhaare sath chalti hai
magar kuchh log duniya mein hamare lazmi honge
agar tum raushni chaho chalo phir sath chalte hain
falak par chand ho na ho sitare lazmi honge
wo jis takiye ke niche se meri taswir milti thi
kisi ne KHwab us takiye pe ware lazmi honge
jahan hum roz milte the wahan kuchh pal faraghat ke
akele baiTh kar us ne guzare lazmi honge
ye tai tum ne hi karna hai ki tum kis samt jaoge
safar mein har jagah 'saim' ishaare lazmi honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.