zarurat ninw ki hoti hai dar se baam se pahle
zarūrat niiñv kī hotī hai dar se baam se pahle
mohabbat ruuh kartī hai sadā ajsām se pahle
mukammal ho ye chāhat bhī na ho kohrām bhī koī
ḳhudā ham ko mile manzil yahāñ ayyām se pahle
dayār-e-ġhair meñ ham ko satātī yaad maazī kī
taḌaptā dil mirā kunj-e-qafas meñ shaam se pahle
na kāñToñ kī hukūmat ho na ḳhanjar ho kisī ke haath
tamanna hai nazārā ho yahī anjām se pahle
tarāshā thā rubā'ī ko bahut logoñ ne pahle bhī
na thī is meñ kabhī zīnat magar ḳhayyām se pahle
nikal kar jab chalī vo to use maañ ne hidāyat dī
ki vāpas lauTnā beTī to ghar par shaam se pahle
huuñ nasl-e-'mīr' se mujh ko suḳhan ke haiñ adab mā'lūm
sadā luuñ naam 'ġhālib' kā kisī bhī naam se pahle
dhaḌaktā dil hamārā hai na qāsid ab talak aaya
mohabbat miT na jaa.e ye tire paiġhām se pahle
mujhe dushman na samjho tum maiñ sachchā dost huuñ 'mīnā'
zarā kuchh pūchh to lete ḳhayāl-e-ḳhām se pahle
zarurat ninw ki hoti hai dar se baam se pahle
mohabbat ruh karti hai sada ajsam se pahle
mukammal ho ye chahat bhi na ho kohram bhi koi
KHuda hum ko mile manzil yahan ayyam se pahle
dayar-e-ghair mein hum ko satati yaad mazi ki
taDapta dil mera kunj-e-qafas mein sham se pahle
na kanTon ki hukumat ho na KHanjar ho kisi ke hath
tamanna hai nazara ho yahi anjam se pahle
tarasha tha ruba'i ko bahut logon ne pahle bhi
na thi is mein kabhi zinat magar KHayyam se pahle
nikal kar jab chali wo to use man ne hidayat di
ki wapas lauTna beTi to ghar par sham se pahle
hun nasl-e-'mir' se mujh ko suKHan ke hain adab ma'lum
sada lun nam 'ghaalib' ka kisi bhi nam se pahle
dhaDakta dil hamara hai na qasid ab talak aaya
mohabbat miT na jae ye tere paigham se pahle
mujhe dushman na samjho tum main sachcha dost hun 'mina'
zara kuchh puchh to lete KHayal-e-KHam se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.