zarurat se ziyaada ji raha hai
zarūrat se ziyāda jī rahā hai
adhūrā shaḳhs puurā jī rahā hai
hai bārish kī musalsal mehrbānī
mire sahrā meñ dariyā jī rahā hai
dar-o-dīvār sāñseñ le rahe haiñ
tabhī kamre kā parda jī rahā hai
basā hai tū mirī āñkhoñ meñ jab se
yahāñ rañgoñ kā mela jī rahā hai
sabhī hāthoñ meñ apne phuul de kar
ḳhushī ke saath gamlā jī rahā hai
nikal bhī aa vahāñ tū chāñd ban kar
jo tere bin ilāqa jī rahā hai
zarurat se ziyaada ji raha hai
adhura shaKHs pura ji raha hai
hai barish ki musalsal mehrbani
mere sahra mein dariya ji raha hai
dar-o-diwar sansen le rahe hain
tabhi kamre ka parda ji raha hai
basa hai tu meri aankhon mein jab se
yahan rangon ka mela ji raha hai
sabhi hathon mein apne phul de kar
KHushi ke sath gamla ji raha hai
nikal bhi aa wahan tu chand ban kar
jo tere bin ilaqa ji raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.