zaruraton ke sabab kya se kya banane laga
zarūratoñ ke sabab kyā se kyā banāne lagā
diyā banā ke maiñ ḳhud hī havā banāne lagā
maiñ pahle pahle banātā rahā ḳhayāl kā jism
phir us ke baad to jo bhī banā banāne lagā
maiñ is ḳhayāl meñ gum thā ki kho gayā huuñ kahīñ
ki dast-e-ġhaib koī rāsta banāne lagā
mujhe lagā ki ye duniyā na.ī nahīñ bantī
so ehtimām se misra nayā banāne lagā
hamārā us kā ta.alluq misālī hotā thā
phir ek fāsla is meñ jagah banāne lagā
zaruraton ke sabab kya se kya banane laga
diya bana ke main KHud hi hawa banane laga
main pahle pahle banata raha KHayal ka jism
phir us ke baad to jo bhi bana banane laga
main is KHayal mein gum tha ki kho gaya hun kahin
ki dast-e-ghaib koi rasta banane laga
mujhe laga ki ye duniya nai nahin banti
so ehtimam se misra naya banane laga
hamara us ka talluq misali hota tha
phir ek fasla is mein jagah banane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.