zauq-e-nazar baDhaiye gulzar dekh kar
zauq-e-nazar baḌhā.iye gulzār dekh kar
ulfat kā saudā kījiye bāzār dekh kar
maiñ ne junūn-e-ishq se dāman bachā liyā
har bul-havas ko terā parastār dekh kar
mere hī dar pe thā koī saa.il ke ruup meñ
hairat-zada rahā mujhe nādār dekh kar
naġhma-sarā na ho sakā gulshan meñ andalīb
tūfān-o-barq-o-bād ke āsār dekh kar
betāb dil ko aur tarastī nigāh ko
bahlā sakā na maiñ gul-o-gulzār dekh kar
dil guftugū kī samt jhukā sher ban ga.e
iz.hār-e-ġham ko ruuh kā ġham-ḳhvār dekh kar
hosh-o-havas kī jang meñ hairat-zada rahā
jazboñ kā shor aql ke afkār dekh kar
āñkhoñ se kā.enāt ke aañsū Tapak paḌe
shāfī ko is jahān meñ bīmār dekh kar
yaad aa ga.iiñ ḳhirad ko vo jannat kī laġhzisheñ
dil kā junūn-o-shauq sharar-bār dekh kar
hāthoñ meñ dil ke parcham-e-afkār de diyā
insāniyat ko barsar-e-paikār dekh kar
zauq-e-nazar baDhaiye gulzar dekh kar
ulfat ka sauda kijiye bazar dekh kar
main ne junun-e-ishq se daman bacha liya
har bul-hawas ko tera parastar dekh kar
mere hi dar pe tha koi sail ke rup mein
hairat-zada raha mujhe nadar dekh kar
naghma-sara na ho saka gulshan mein andalib
tufan-o-barq-o-baad ke aasar dekh kar
betab dil ko aur tarasti nigah ko
bahla saka na main gul-o-gulzar dekh kar
dil guftugu ki samt jhuka sher ban gae
izhaar-e-gham ko ruh ka gham-KHwar dekh kar
hosh-o-hawas ki jang mein hairat-zada raha
jazbon ka shor aql ke afkar dekh kar
aankhon se kaenat ke aansu Tapak paDe
shafi ko is jahan mein bimar dekh kar
yaad aa gain KHirad ko wo jannat ki laghzishen
dil ka junun-o-shauq sharar-bar dekh kar
hathon mein dil ke parcham-e-afkar de diya
insaniyat ko barsar-e-paikar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.