zauq-e-parwaz bachate rahiye
zauq-e-parvāz bachāte rahiye
jashn-e-zindān manāte rahiye
film kā scene abhī chālū hai
aap kirdār nibhāte rahiye
sub.h kī dhuup lagegī behtar
raat kī barq bhulāte rahiye
'ishq kī aag bujhānī ho agar
ashk āñkhoñ se bahāte rahiye
dil koī chiiz nahīñ bāzārū
har kisī se jo lagāte rahiye
sach lab-e-dam hai lihāzā ai ‘punj’
jhūTī ummīd jagāte rahiye
zauq-e-parwaz bachate rahiye
jashn-e-zindan manate rahiye
film ka scene abhi chaalu hai
aap kirdar nibhate rahiye
subh ki dhup lagegi behtar
raat ki barq bhulate rahiye
'ishq ki aag bujhani ho agar
ashk aankhon se bahate rahiye
dil koi chiz nahin bazaru
har kisi se jo lagate rahiye
sach lab-e-dam hai lihaza ai ‘punj’
jhuTi ummid jagate rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.