zauq-e-parwaz ki itni to pazirai kar
zauq-e-parvāz kī itnī to pazīrā.ī kar
par-shikasta huuñ jo maiñ hausla-afzā.ī kar
dil-e-ḳhush-fahm ko de phir koī ḳhush-rang fareb
phir kisī rasm se tajdīd-e-shanāsā.ī kar
koī ḳhurshīd bhī manzar kā muqaddar kar de
sirf raushan na ye bujhtī huī bīnā.ī kar
kaun samjhegā tire karb kā mafhūm yahāñ
ghar kī dīvāroñ ko ab mahram-e-tanhā.ī kar
naqd-e-jāñ chhīn magar shīsha-e-pindār na toḌ
zaḳhm de mujh ko na ehsān-e-masīhā.ī kar
kuchh tire tarz-e-amal par bhī to harf aa.egā
mere kirdār kī itnī bhī na rusvā.ī kar
apnī rusvā.ī ko duniyā kī nazar se dekhūñ
is tamāshe meñ kabhī mujh ko tamāshā.ī kar
yūñhī rakh le mirī derīna rifāqat kā bharam
apnī tanhā.ī meñ shāmil mirī tanhā.ī kar
zauq-e-parwaz ki itni to pazirai kar
par-shikasta hun jo main hausla-afzai kar
dil-e-KHush-fahm ko de phir koi KHush-rang fareb
phir kisi rasm se tajdid-e-shanasai kar
koi KHurshid bhi manzar ka muqaddar kar de
sirf raushan na ye bujhti hui binai kar
kaun samjhega tere karb ka mafhum yahan
ghar ki diwaron ko ab mahram-e-tanhai kar
naqd-e-jaan chhin magar shisha-e-pindar na toD
zaKHm de mujh ko na ehsan-e-masihai kar
kuchh tere tarz-e-amal par bhi to harf aaega
mere kirdar ki itni bhi na ruswai kar
apni ruswai ko duniya ki nazar se dekhun
is tamashe mein kabhi mujh ko tamashai kar
yunhi rakh le meri derina rifaqat ka bharam
apni tanhai mein shamil meri tanhai kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.