zauq-e-sajda ek naqsh-e-kaamran banta gaya
zauq-e-sajda ek naqsh-e-kāmrāñ bantā gayā
āstāñ par un ke merā āstāñ bantā gayā
be-nishānī ke sahāre par nishāñ bantā gayā
zāmin-e-manzil ġhubār-e-kārvāñ bantā gayā
qudratan barbādiyoñ kī dāstāñ bantā gayā
ḳhud-baḳhud bijlī kī zad meñ āshiyāñ bantā gayā
kyā ḳhatā sayyād kī aur bāġhbāñ kā kyā qusūr
gulsitāñ meñ ḳhud tū nañg-e-gulsitāñ bantā gayā
vā-e-mahrūmī-e-ulfat un kā ġham bhī to nadīm
bad-nasībī se nasīb-e-dushmanāñ bantā gayā
mujh se kyā kahte ho ab duniyā jo kahtī hai kahe
tum karam karte ga.e maiñ dāstāñ bantā gayā
hāmil-e-ta.amīr thī taḳhrīb-e-paiham ai 'shifā'
āshiyāñ miT miT ke naqsh-e-āshiyāñ batā gayā
zauq-e-sajda ek naqsh-e-kaamran banta gaya
aastan par un ke mera aastan banta gaya
be-nishani ke sahaare par nishan banta gaya
zamin-e-manzil ghubar-e-karwan banta gaya
qudratan barbaadiyon ki dastan banta gaya
KHud-baKHud bijli ki zad mein aashiyan banta gaya
kya KHata sayyaad ki aur baghban ka kya qusur
gulsitan mein KHud tu nang-e-gulsitan banta gaya
wa-e-mahrumi-e-ulfat un ka gham bhi to nadim
bad-nasibi se nasib-e-dushmanan banta gaya
mujh se kya kahte ho ab duniya jo kahti hai kahe
tum karam karte gae main dastan banta gaya
hamil-e-tamir thi taKHrib-e-paiham ai 'shifa'
aashiyan miT miT ke naqsh-e-ashiyan bata gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.