zauq-e-shab-e-visal hamare liye bhi ho
zauq-e-shab-e-visāl hamāre liye bhī ho
ham sā hī terā haal hamāre liye bhī ho
mahsūs tum jo karte ho ā.īna dekh kar
aisā hasīñ ḳhayāl hamāre liye bhī ho
yūsuf ko tū ne jo diyā kuchh us se kam sahī
vo husn vo jamāl hamāre liye bhī ho
baiThe hue haiñ is liye chaukhaT pe ham tirī
shāyad koī kamāl hamāre liye bhī ho
achchhe thoḌī lagoge agar juuñ ke tuuñ milo
joban meñ kuchh ubaal hamāre liye bhī ho
zauq-e-shab-e-visal hamare liye bhi ho
hum sa hi tera haal hamare liye bhi ho
mahsus tum jo karte ho aaina dekh kar
aisa hasin KHayal hamare liye bhi ho
yusuf ko tu ne jo diya kuchh us se kam sahi
wo husn wo jamal hamare liye bhi ho
baiThe hue hain is liye chaukhaT pe hum teri
shayad koi kamal hamare liye bhi ho
achchhe thoDi lagoge agar jun ke tun milo
joban mein kuchh ubaal hamare liye bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.