zauq-e-talash-e-yar kahan se kahan hai aaj
zauq-e-talāsh-e-yār kahāñ se kahāñ hai aaj
ab merī gard-e-rāh-e-safar kahkashāñ hai aaj
sadiyoñ se zulmatoñ kā zamāne pe raaj hai
ai āftāb-e-sub.h tirī zau kahāñ hai aaj
jin manziloñ kī gard farishte na chhū sake
un manziloñ ke paas mirā kārvāñ hai aaj
bāb-e-haram hai vā na kalīsā ke dar haiñ vā
yaaro chalo ki vā dar-e-pīr-e-muġhāñ hai aaj
'rif.at' ye tere zarf-e-mohabbat pe daaġh hai
jo sail-e-ashk aañkh se terī ravāñ hai aaj
zauq-e-talash-e-yar kahan se kahan hai aaj
ab meri gard-e-rah-e-safar kahkashan hai aaj
sadiyon se zulmaton ka zamane pe raj hai
ai aaftab-e-subh teri zau kahan hai aaj
jin manzilon ki gard farishte na chhu sake
un manzilon ke pas mera karwan hai aaj
bab-e-haram hai wa na kalisa ke dar hain wa
yaro chalo ki wa dar-e-pir-e-mughan hai aaj
'rifat' ye tere zarf-e-mohabbat pe dagh hai
jo sail-e-ashk aankh se teri rawan hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.