zauq rakhta hai fikrmand tujhe
zauq rakhtā hai fikrmand tujhe
ho ke rahnā hai sar-buland tujhe
shā.erī kā sarāb tai karnā
kaun mānegā hosh-mand tujhe
ye tirā rakh-rakhāo ye bikhran
log karne lage pasand tujhe
phir koī ishq hai vabāl-e-jāñ
le uḌī husn kī kamand tujhe
gar ġhazal hī nahīñ 'tapish' phir kyā
ho gayā kyā ye aql-mand tujhe
zauq rakhta hai fikrmand tujhe
ho ke rahna hai sar-buland tujhe
shaeri ka sarab tai karna
kaun manega hosh-mand tujhe
ye tera rakh-rakhao ye bikhran
log karne lage pasand tujhe
phir koi ishq hai wabaal-e-jaan
le uDi husn ki kamand tujhe
gar ghazal hi nahin 'tapish' phir kya
ho gaya kya ye aql-mand tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.