zawal-e-fikr ko zehnon ki tirgi kahte
zavāl-e-fikr ko zehnoñ kī tīrgī kahte
jo baat ham ne kahī hai vo aap bhī kahte
farāz-e-dār pa rūdād-e-zindagī kahte
ḳhudā-shanās jo hote to vāqa.ī kahte
taras rahe haiñ jo rāhat kī zindagī ke liye
vo kaise ġham ko masarrat kī zindagī kahte
ab aise log zamāne se uTh ga.e shāyad
tumhāre ġham ko jo sarmāya-e-ḳhushī kahte
ye fikr-e-nau ke pujārī ye raushnī ke amiiñ
jo raushnī kahīñ hotī to raushnī kahte
bahut talāsh kiyā ham ne shahr-e-ġham meñ magar
milā na koī jo rūdād-e-zindagī kahte
jo kaam ahl-e-junūñ ne kiyā ba-nām-e-vafā
shu.ūr-mañd use rūh-e-āgahī kahte
jo kam-nazar the aqīdat ko dete kufr kā naam
vafā-parast aqīdat ko bandagī kahte
ye ahl-e-fikr ye fan-kār daur-e-hāzir ke
ġhazal ke naam se duniyā kī baat bhī kahte
mire junūñ ke taqāze agar samajh lete
mirī ḳhudī ko vo me.arāj-e-be-ḳhudī kahte
'nigār' kaash ye aish-o-tarab ke dīvāne
sitam-zadoñ kī kahānī kabhī kabhī kahte
zawal-e-fikr ko zehnon ki tirgi kahte
jo baat hum ne kahi hai wo aap bhi kahte
faraaz-e-dar pa rudad-e-zindagi kahte
KHuda-shanas jo hote to waqai kahte
taras rahe hain jo rahat ki zindagi ke liye
wo kaise gham ko masarrat ki zindagi kahte
ab aise log zamane se uTh gae shayad
tumhaare gham ko jo sarmaya-e-KHushi kahte
ye fikr-e-nau ke pujari ye raushni ke amin
jo raushni kahin hoti to raushni kahte
bahut talash kiya hum ne shahr-e-gham mein magar
mila na koi jo rudad-e-zindagi kahte
jo kaam ahl-e-junun ne kiya ba-nam-e-wafa
shuur-mand use ruh-e-agahi kahte
jo kam-nazar the aqidat ko dete kufr ka nam
wafa-parast aqidat ko bandagi kahte
ye ahl-e-fikr ye fan-kar daur-e-hazir ke
ghazal ke nam se duniya ki baat bhi kahte
mere junun ke taqaze agar samajh lete
meri KHudi ko wo mearaj-e-be-KHudi kahte
'nigar' kash ye aish-o-tarab ke diwane
sitam-zadon ki kahani kabhi kabhi kahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.