zawal-e-ghairat-e-ahl-e-sharaf pe kya kahiye
zavāl-e-ġhairat-e-ahl-e-sharaf pe kyā kahiye
chalī hai rasm ki fir.aun ko ḳhudā kahiye
fuġhān-e-murġh ko nāqūs kī sadā kahiye
uThe chaman se dhuāñ to use ghaTā kahiye
har ik himāqat-e-hākim pe vāh-vā kahiye
vo laakh jhūTh kahe aap marhabā kahiye
bacheñ vabā se to hākim ko shukriya kahiye
mareñ vabā se to allah kī thī razā kahiye
kare savāl jo hākim se hai adū-e-vatan
kahe jo jhūTh ko jhūTh us ko kaj-adā kahiye
qatīl hizb-e-muḳhālif se ho to us par hī
lagā ke tohmateñ, qātil ko marhabā kahiye
ye vaqt hai baḌā nāzuk zarā sañbhal ke 'sadā'
hai ḳhair isī meñ ki rahzan ko rahnumā kahiye
zawal-e-ghairat-e-ahl-e-sharaf pe kya kahiye
chali hai rasm ki firaun ko KHuda kahiye
fughan-e-murgh ko naqus ki sada kahiye
uThe chaman se dhuan to use ghaTa kahiye
har ek himaqat-e-hakim pe wah-wa kahiye
wo lakh jhuTh kahe aap marhaba kahiye
bachen waba se to hakim ko shukriya kahiye
maren waba se to allah ki thi raza kahiye
kare sawal jo hakim se hai adu-e-watan
kahe jo jhuTh ko jhuTh us ko kaj-ada kahiye
qatil hizb-e-muKHalif se ho to us par hi
laga ke tohmaten, qatil ko marhaba kahiye
ye waqt hai baDa nazuk zara sanbhal ke 'sada'
hai KHair isi mein ki rahzan ko rahnuma kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.