zawal-e-sham-e-hijran ka ishaara dekhta hun main
zavāl-e-shām-e-hijrāñ kā ishāra dekhtā huuñ maiñ
charāġhoñ ke badan ko pāra-pāra dekhtā huuñ maiñ
matā’-e-jāñ luTā dene se kuchh hāsil nahīñ hotā
to kyoñ sūd-o-ziyāñ kā goshvārā dekhtā huuñ maiñ
tamanna kā natīja apne sar lenā nahīñ achchhā
zarā Thahro 'azīzo istiḳhāra dekhtā huuñ maiñ
mirī ḳhāk-e-badan āḳhir isī miTTī kā hissa hai
so kashtī kholtā huuñ aur kināra dekhtā huuñ maiñ
ġhubār-e-shab ke pīchhe raushnī hai log kahte haiñ
agar yuuñ hai to ye manzar dobāra dekhtā huuñ maiñ
añdheroñ meñ kuchh aise ḳhvāb bhī dikhlā.ī dete haiñ
ki jaise āsmāñ par ik sitāra dekhtā huuñ maiñ
zawal-e-sham-e-hijran ka ishaara dekhta hun main
charaghon ke badan ko para-para dekhta hun main
mata’-e-jaan luTa dene se kuchh hasil nahin hota
to kyon sud-o-ziyan ka goshwara dekhta hun main
tamanna ka natija apne sar lena nahin achchha
zara Thahro 'azizo istiKHara dekhta hun main
meri KHak-e-badan aaKHir isi miTTi ka hissa hai
so kashti kholta hun aur kinara dekhta hun main
ghubar-e-shab ke pichhe raushni hai log kahte hain
agar yun hai to ye manzar dobara dekhta hun main
andheron mein kuchh aise KHwab bhi dikhlai dete hain
ki jaise aasman par ek sitara dekhta hun main
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 55)
- Author : Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.