zawal-e-umr ke parde mein hai hijab kahan
Interesting Fact
Shab Khun (May 2002)
zavāl-e-umr ke parde meñ hai hijāb kahāñ
vufūr-e-shauq se labrez ab gulāb kahāñ
kiran kiran se fasāna hasīn likhtā thā
chalā gayā vo fusūñ kār-e-āfatāb kahāñ
numūd-e-sub.h ko detā sadā chalā aa.e
hamārī raat meñ baaqī hai aisā ḳhvāb kahāñ
har ik qadam pe ḳhirad ke nishān milte haiñ
tujhe chhupā ke maiñ rakkhūñ dil-e-ḳharāb kahāñ
sunahre vaqt meñ reg-e-ravāñ ye phuul khilā
vo qissa pyaar kā le kar ga.e haiñ ḳhvāb kahāñ
siyah safed ghaTā āsmāñ pe phailī thī
par us ke jaal meñ aayā vo māhtāb kahāñ
taġhayyurāt zamāne ke us ne batlā.e
mire savāl ke haq meñ thā vo javāb kahāñ
talāsh ḳhvāb meñ mere qadam vo letā thā
zabāñ pe us kī hai ab aap aur janāb kahāñ
sadā-e-dard se vāqif dil-e-nafas 'ja.afar'
koī batā.e ki hotā hai dastiyāb kahāñ
zawal-e-umr ke parde mein hai hijab kahan
wufur-e-shauq se labrez ab gulab kahan
kiran kiran se fasana hasin likhta tha
chala gaya wo fusun kar-e-afatab kahan
numud-e-subh ko deta sada chala aae
hamari raat mein baqi hai aisa KHwab kahan
har ek qadam pe KHirad ke nishan milte hain
tujhe chhupa ke main rakkhun dil-e-KHarab kahan
sunahre waqt mein reg-e-rawan ye phul khila
wo qissa pyar ka le kar gae hain KHwab kahan
siyah safed ghaTa aasman pe phaili thi
par us ke jal mein aaya wo mahtab kahan
taghayyuraat zamane ke us ne batlae
mere sawal ke haq mein tha wo jawab kahan
talash KHwab mein mere qadam wo leta tha
zaban pe us ki hai ab aap aur janab kahan
sada-e-dard se waqif dil-e-nafas 'jafar'
koi batae ki hota hai dastiyab kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.