zeb-e-gulshan na bane raunaq-e-virana bane
zeb-e-gulshan na bane raunaq-e-vīrāna bane
kitne hoshyār the jo ishq meñ dīvāna bane
jur.at-e-dīd agar merī tamāsha na bane
dar-haqīqat mirā afsāna phir afsāna bane
kuchh patañgoñ hī pe mauqūf nahīñ jān-e-vafā
jo bhī aa jaa.e tirī bazm meñ parvāna bane
kitne dilchasp haiñ us shoḳh-nazar ke andāz
koī dīvāna na bantā ho to dīvāna bane
dil ḳhulūs-e-ġham-e-ulfat se hai ḳhālī varna
ishq afsāna banā kar bhī na afsāna bane
dil kī duniyā kī ulaT pher ilāhī tauba
jitnā ābād kiyā jaa.e ye vīrāna bane
kaash ik rabt rahe un kī nazar se 'bismil'
kabhī ā.īna bane dil kabhī paimāna bane
zeb-e-gulshan na bane raunaq-e-virana bane
kitne hoshyar the jo ishq mein diwana bane
jurat-e-did agar meri tamasha na bane
dar-haqiqat mera afsana phir afsana bane
kuchh patangon hi pe mauquf nahin jaan-e-wafa
jo bhi aa jae teri bazm mein parwana bane
kitne dilchasp hain us shoKH-nazar ke andaz
koi diwana na banta ho to diwana bane
dil KHulus-e-gham-e-ulfat se hai KHali warna
ishq afsana bana kar bhi na afsana bane
dil ki duniya ki ulaT pher ilahi tauba
jitna aabaad kiya jae ye virana bane
kash ek rabt rahe un ki nazar se 'bismil'
kabhi aaina bane dil kabhi paimana bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.