zeb-o-araish ke saman dil ko bahlate nahin
zeb-o-ārā.ish ke sāmāñ dil ko bahlāte nahīñ
zindagī meñ ab kahīñ bhī pyaar ke naate nahīñ
mai-kade vīrān haiñ mai-kash bhī sab hairān haiñ
mausamoñ ko kyā huā kyoñ abr ab chhāte nahīñ
nafratoñ kī garm-bāzārī se jī ghabrā gayā
ab mohabbat ke tarāne naġhma-ḳhvāñ gaate nahīñ
us ne jo kuchh kah diyā sunte rahe dekhā kiye
dil ke afsāne zabāñ par aah kyoñ aate nahīñ
zeb-o-araish ke saman dil ko bahlate nahin
zindagi mein ab kahin bhi pyar ke nate nahin
mai-kade viran hain mai-kash bhi sab hairan hain
mausamon ko kya hua kyon abr ab chhate nahin
nafraton ki garm-bazari se ji ghabra gaya
ab mohabbat ke tarane naghma-KHwan gate nahin
us ne jo kuchh kah diya sunte rahe dekha kiye
dil ke afsane zaban par aah kyon aate nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.