zehn mera qayas pahne hue
zehn merā qayās pahne hue
dil hai ḳhauf-o-hirās pahne hue
us kī āñkhoñ meñ saat dariyā haiñ
aur mire hoñT pyaas pahne hue
bheḌiye ne 'ajīb chaal chalī
chhup gayā sabz ghaas pahne hue
baiTh jaate haiñ bām-o-dar aksar
aa.ine ās-pās pahne hue
haiñ jo muñh-bole kuchh faqīr miyāñ
ye libāde haiñ ḳhaas pahne hue
baat kartā hai shaam sannāTā
ḳhāmushī kā libās pahne hue
shab-e-hijrān ek saaya mujhe
kyuuñ Darātā hai maas pahne hue
zehn mera qayas pahne hue
dil hai KHauf-o-hiras pahne hue
us ki aankhon mein sat dariya hain
aur mere honT pyas pahne hue
bheDiye ne 'ajib chaal chali
chhup gaya sabz ghas pahne hue
baiTh jate hain baam-o-dar aksar
aaine aas-pas pahne hue
hain jo munh-bole kuchh faqir miyan
ye libaade hain KHas pahne hue
baat karta hai sham sannaTa
KHamushi ka libas pahne hue
shab-e-hijran ek saya mujhe
kyun Daraata hai mas pahne hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.