zehn aur dil mein jang jari thi
zehn aur dil meñ jañg jaarī thī
jaag kar maiñ ne shab guzārī thī
dil gayā to gayā ye jaañ bhī ga.ī
vo nazar is qadar shikārī thī
bas gayā thā ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ vo
vo ḳhumārī bhī kyā ḳhumārī thī
us ne nazroñ se paḌh liyā hogā
dil meñ mahfūz rāzdārī thī
jo tire intizār meñ guzrī
ik vahī raat mujh pe bhārī thī
apnī jaañ kā utaar kar sadqa
maiñ ne us kī nazar utārī thī
zehn aur dil mein jang jari thi
jag kar main ne shab guzari thi
dil gaya to gaya ye jaan bhi gai
wo nazar is qadar shikari thi
bas gaya tha KHayal-o-KHwab mein wo
wo KHumari bhi kya KHumari thi
us ne nazron se paDh liya hoga
dil mein mahfuz raazdari thi
jo tere intizar mein guzri
ek wahi raat mujh pe bhaari thi
apni jaan ka utar kar sadqa
main ne us ki nazar utari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.