zehn be-samt KHayalon ka nishana hai yahan
zehn be-samt ḳhayāloñ kā nishāna hai yahāñ
zindagī jaise yūñhī Thokareñ khānā hai yahāñ
naġhma nauha hai yahāñ chīḳh tarāna hai yahāñ
baat sau Dhang se karne kā bahāna hai yahāñ
qahqaha apnī tabāhī pe lagānā hai yahāñ
is ḳhazāna ko bahar-hāl luTānā hai yahāñ
kal kutub-ḳhānoñ kī ham log bhī raunaq hoñge
har haqīqat ke muqaddar meñ fasāna hai yahāñ
is ḳharābe se nikal kar lab-e-dariyā kyā jaa.eñ
ek qatre meñ samundar kā fasānā hai yahāñ
kaise be-harf-o-sadā dard kī rūdād kaheñ
ek ek lafz to sadiyoñ kā purānā hai yahāñ
ghar se ghabrā ke jo niklā to ye bolī dahlīz
paañv shal hoñge to phir lauT ke aanā hai yahāñ
har taraf soch meñ Duube hue yaksāñ chehre
jaise har chaar taraf ā.īna-ḳhāna hai yahāñ
zehn be-samt KHayalon ka nishana hai yahan
zindagi jaise yunhi Thokaren khana hai yahan
naghma nauha hai yahan chiKH tarana hai yahan
baat sau Dhang se karne ka bahana hai yahan
qahqaha apni tabahi pe lagana hai yahan
is KHazana ko bahar-haal luTana hai yahan
kal kutub-KHanon ki hum log bhi raunaq honge
har haqiqat ke muqaddar mein fasana hai yahan
is KHarabe se nikal kar lab-e-dariya kya jaen
ek qatre mein samundar ka fasana hai yahan
kaise be-harf-o-sada dard ki rudad kahen
ek ek lafz to sadiyon ka purana hai yahan
ghar se ghabra ke jo nikla to ye boli dahliz
panw shal honge to phir lauT ke aana hai yahan
har taraf soch mein Dube hue yaksan chehre
jaise har chaar taraf aaina-KHana hai yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.