zehn ka kuchh muntashir to haal ka KHasta raha
zehn kā kuchh muntashir to haal kā ḳhasta rahā
kitnā merī zaat se vo shaḳhs vābasta rahā
sub.h-e-kāzib raushnī ke jaal meñ aane lagī
sīm-gūñ sūraj ujāle par kamar-basta rahā
dekhne meñ kuchh huuñ maiñ mahsūs karne meñ huuñ kuchh
chashm-e-bīnā par mirā ye raaz sar-basta rahā
apne zindāñ se nikalnā apnī tāqat meñ nahīñ
har bashar apne liye zanjīr pā-basta rahā
pursish-e-ġham meñ na mujh se hī mahz ujlat huī
us kī āñkhoñ kā chhalak paḌnā bhī barjasta rahā
apne andar kī ḳhalish kā kar liyā maiñ ne ilaaj
mere dil meñ dūsroñ kā dard paivasta rahā
yā masā.il se taqābul zindagī se yā farār
bach nikalne kā vahāñ se ek hī rasta rahā
zehn ka kuchh muntashir to haal ka KHasta raha
kitna meri zat se wo shaKHs wabasta raha
subh-e-kazib raushni ke jal mein aane lagi
sim-gun suraj ujale par kamar-basta raha
dekhne mein kuchh hun main mahsus karne mein hun kuchh
chashm-e-bina par mera ye raaz sar-basta raha
apne zindan se nikalna apni taqat mein nahin
har bashar apne liye zanjir pa-basta raha
pursish-e-gham mein na mujh se hi mahz ujlat hui
us ki aankhon ka chhalak paDna bhi barjasta raha
apne andar ki KHalish ka kar liya main ne ilaj
mere dil mein dusron ka dard paiwasta raha
ya masail se taqabul zindagi se ya farar
bach nikalne ka wahan se ek hi rasta raha
- Book : Pani Patthar (Pg. 124)
- Author : Yasiin Afzaal
- Publication : Maktaba Fikr-e-Nav (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.