zehn mein daere se banata raha dur hi dur se muskuraata raha
zehn mein daere se banata raha dur hi dur se muskuraata raha
Ghulam Mohammad Qasir
MORE BYGhulam Mohammad Qasir
zehn meñ dā.ere se banātā rahā duur hī duur se muskurātā rahā
maiñ samundar nahīñ chāñd ko ilm hai raat bhar phir bhī mujh ko bulātā rahā
aañkh meñ ḳhema-zan nīl-gūñ vus.ateñ apnā pahlā qadam hī ḳhalāoñ meñ hai
jo jafā ke jazīra-numāoñ meñ hai dil kā us ḳhāk-e-ḳhasta se naatā rahā
kaj-adā.ī kī chādar se muñh Dhāñp kar sone vaalā sar-e-shām hī so gayā
ḳhushk yādoñ ke pattoñ bhare khet meñ saañp sā raat bhar sarsarātā rahā
der tak zard āñdhī sī chaltī rahī saañs bujhtī rahī sham.a jaltī rahī
jaañ pighaltī rahī raat Dhaltī rahī maiñ na rūThā magar vo manātā rahā
an-sunī sī sadāoñ ke ghere meñ thā dekhte dekhte ghup añdhere meñ thā
vo mujhe pā ke duniyā ke baḳhshe hue sab ke sab khoTe sikke chalātā rahā
āzmā.ish meñ hai vo ghaḌī iid kī chāñd ne jis ke aane kī tā.īd kī
ik phaTe pairahan par pasīne kī tah ek ghar ḳhushbuoñ meñ nahātā rahā
zehn mein daere se banata raha dur hi dur se muskuraata raha
main samundar nahin chand ko ilm hai raat bhar phir bhi mujh ko bulata raha
aankh mein KHema-zan nil-gun wusaten apna pahla qadam hi KHalaon mein hai
jo jafa ke jazira-numaon mein hai dil ka us KHak-e-KHasta se nata raha
kaj-adai ki chadar se munh Dhanp kar sone wala sar-e-sham hi so gaya
KHushk yaadon ke patton bhare khet mein sanp sa raat bhar sarsaraata raha
der tak zard aandhi si chalti rahi sans bujhti rahi shama jalti rahi
jaan pighalti rahi raat Dhalti rahi main na ruTha magar wo manata raha
an-suni si sadaon ke ghere mein tha dekhte dekhte ghup andhere mein tha
wo mujhe pa ke duniya ke baKHshe hue sab ke sab khoTe sikke chalata raha
aazmaish mein hai wo ghaDi id ki chand ne jis ke aane ki taid ki
ek phaTe pairahan par pasine ki tah ek ghar KHushbuon mein nahata raha
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 366)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.