zehn mein nagah hairat aa gai
zehn meñ nāgāh hairat aa ga.ī
sāmne jab un kī ulfat aa ga.ī
dī sazā munsif ne bhī mazlūm ko
jeb meñ jab us ke daulat aa ga.ī
kis ko ham achchhā kaheñ kis ko burā
sāmne khul kar haqīqat aa ga.ī
har taraf be-rozgārī dekhiye
le ke mahñgā.ī hukūmat aa ga.ī
dil meñ nafrat har nazar meñ hai ḳhalish
ab dikhāve kī mohabbat aa ga.ī
muntaḳhab jab se unheñ rahbar kiyā
kārvāñ par to musībat aa ga.ī
maañ kī ḳhidmat kar rahā huuñ maiñ 'samar'
yuuñ nahīñ qismat meñ jannat aa ga.ī
zehn mein nagah hairat aa gai
samne jab un ki ulfat aa gai
di saza munsif ne bhi mazlum ko
jeb mein jab us ke daulat aa gai
kis ko hum achchha kahen kis ko bura
samne khul kar haqiqat aa gai
har taraf be-rozgari dekhiye
le ke mahngai hukumat aa gai
dil mein nafrat har nazar mein hai KHalish
ab dikhawe ki mohabbat aa gai
muntaKHab jab se unhen rahbar kiya
karwan par to musibat aa gai
man ki KHidmat kar raha hun main 'samar'
yun nahin qismat mein jannat aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.